Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwajah  Abu Muhammad

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ka ism e graami Hazrat Khwaja Abu Muhammad Rahmatullah Alayh Bin Abu Ahmed Abdal Chishti  Rahmatullah Alayh aur laqab Nasa Al Deen tha. Aap ki wiladat ba saadat yakam Muhram al Haram 331 Hijri ko chisht mein hui. Aap madar zaad wali thay. Khwaja Abu Ahmed Abdal Chishti  Rahmatullah Alayh ko Rasool e kaaeynaat Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  ne is farzand arjmand ki basharat di thi. Aap ne farmaya tha kay ae Abu Ahmed  Rahmatullah Alayh Khuda tumhe aik beta day ga jis ka naam mere naam par Mohammad rakhna .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Bairooni hamla awaron ki wajah se yeh mazraat ab khndrat mein tabdeel ho chuke hain

Aap Khwaja Abu Ahmed Abdal  Rahmatullah Alayh Chishti ke farzand arjmand, mureed aur khalifa thay chobees saal ki umar mein aap ke waalid majid ka intqaal howa to aap un ke musala  par jalwa afroz hue. Kayi baar kunvey mein latak kar namaz makoos ada karte. Saat din baad aik khjor aur pani ke aik ghoont se aftaar karte. Aap ke zahiri o baatini aloom ke ustaad Hazrat khizar aleh salam thay .

Aik din Khwaja Abu Ahmed Chishti  Rahmatullah Alayh majlis Samaa mein baithy hue thay kay itafaqan wahan Hazrat Khwaja Abu Mohammad bhi tashreef  le aaye. Naat suntay hi rakat taari ho gayi aur saat din taq be khud parre rahay. Sirf  namaz ke waqat hosh mein atay aur phir be hosh ho jatay. Aathween din aap ke waalid Hazrat Khwaja ne Samaa moqoof  farmaya aur Khwaja ke seenay par haath phera woh hosh mein aa gaye aur ankhen khol den aur aasman ki taraf munh kar kay kehnay lagey phir parho. Aalam e ghaib se naat ki aawaz aani shuru hui. Yeh aisay ashaar thay jo ba shmol hazreen ke kisi ne nah sunay thay. Khwaja hazreen ke sath phir wajad mein aa gaye aur teen roz taq be khud parre rahay .

Aik din Hazrat Khwaja Abu Mohammad Rahmatullah Alayh  apni behan ke paas tashreef  le gaye aur farmaya kay ae Aziza taqadeer mein likha howa hai kay tumahray batan se aik walii Allah peda ho ga jo Qutub banay ga. Aap ki behan khud aik Walia theen lekin yeh baat suneney ke bawajood shadi se inkaar karti rahen. Is waqt aap ki hamsheerah ki umar chalees saal thi aur woh sirf Allah ki yaad mein zindagi guzarna chahtain theen. Isi raat is naik bibi ne khawab mein apne waalid Hazrat Khwaja Rahmatullah Alayh ko dekha jo kay farma rehe hain kay aik Syed zaadah Mohammad hai woh neki aur taqwa mein mashhoor hai aur woh tumahray muqaddar mein likha howa hai. Dosray roz bhi aisa hi khawab Hazrat ko aaya jis ke baad unhon ne kisi aadmi ko bulaya aur usay kaha kay is shehar mein koi Syed rehta hai usay dhoond kar layein. Jab Syed Mohammad Rahmatullah Alayh ko laya gya to wohi thay jin ko khawab mein dekha tha. Chunancha aap ka nikah is bibi se kar dia gae . Jis ke baad Khwaja Hazrat Abu Yousaf  Rahmatullah Alayh pida hoye .

Hazrat Khwaja Abu Mohammad Rahmatullah Alayh  ka aik khidmat guzaar tha. Is ka naam Ustaad Marwan tha . Woh kayi saal taq Aap ki khidmat mein raha aur kaamil aitqaad ke sath khidmat baja lata raha jis  par Hazrat Khwaja Abu Mohammad Rahmatullah Alayh ne  usay Khirqah se nawazah aur hukum diya kay apne mulik chala ja . Khwaja Ustaad Rahmatullah Alayh ne rotay hue Hazrat Khwaja Abu Mohammad Rahmatullah Alayh se  kaha kay jab taq mere jism mein jaan hai mein Aap ki khidmat se alehda nahi rahon ga. Hazrat Khwaja Abu Mohammad Rahmatullah Alayh ne  is ki giryaa zaari aur be qarari dekhi to farmaya kay tum jahan kahin bhi raho ge. Jab bhi mujhe dekhnay ki arzoo karo gay mein tumahray samnay mojood hon ga aur tum mujh se mulaqaat kar liya karna. Is baat se un ki tasalii ho gayi aur woh wahan se rukhsat hog aye. Woh saari zindagi jab chahtay Hazrat Khwaja Abu Mohammad Rahmatullah Alayh se mulaqaat kar liya karte thay .

Aap ke teen Khulfa thay aik Khwaja Abu Yousaf Rahmatullah Alayh  dosray Khwaja Mohammad  Rahmatullah Alayh aur teesray Khwaja Ustaad  Marwan Rahmatullah Alayh. Yeh tenu hazraat aap ki wafaat ke baad masnad hadaayat o irshad par baithy .

Aap Sair ul Qataab ke musannif  ke mutabiq chodan Rabie ul Awal 411Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue jabkay shehzada Dara Shikwah Qadri ne Safeena tul Aulia  mein likha hai kay aap yakam mah Rajab 411 Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue .